High Heels.

High heels.Khwateen main yunh to high heels kafi jismani masail paida ker sakti hain..taham is ky bawjood bhe fation ki wjha sy khwateen ky juton main heels ki mqaboliyat kabhi kam nhi hoi hy.heels pehan ker chalna jitni maharat ka kaam hy .inka khyal rakjna bh ek eham kaam hy.kiu ky ager apki ek heel zyada ghiss jaye gi or dosri theek hogi to bh apki chaalnpar farak pary ga.apni heels ko sab sy pehly dabby waly gatty main rakh lain.kabhi rozana ek hi sendal na pehnen.apky pas ager jooton K kami hy to inki tadaad main izafa kerna hi behtr hoga.werna ek hi joota musalsal istamal kerny sy dosry ya tessry maheeny bad wzha,bad raang or khrab ho jaye ga…sjooton ko bh aram deny ki zrorat hai..is liy inhi badal badal ker pehnen.

Lamby safar sy wapis any ky baad jotoon ko sehan ya bramdy main 10 minutes tak rakha rehnh dain.iS ky baadsaf sutti kapry sy inki jhaar ponch kee lain or phir inko jooton ky raik main rakh dain .

Gaari khud chlany wali khwateen kabhi heela pehan kay driving naa kren.heels utaar kr hi gaari chlain ya phir nookdar jotoon ky elawaa koi chapal pehan kr gari chlai jay tu jooty mutasir nhi hun gy.

Chamray ky jooty zayada ehtiyat chahty hain. Pehli ehtiyat to yeh kren ky inko kbhi kbhar saaf ker liya kren.kabhi plastic ky shapar main na rakhen or chamry ki mkhsos polish bh ager zrorat mehsos ho to zror azma lain.

Heels ki dust saaf kerny k liy Suede Eraser istamal kiya kren.geela kapra phair ker inko kabhi saaf mat kren.

Ager heels main nagwaar had tak paseeny ki smell phail gai ho to baking soda ki thore se miqdaar ander or baher chirak kerĀ  kuch dair ky liy yaa raat bhar ky liy rakha rehnh dain.is ky baad saaf kapry sy joota saaf ker lain.

Baiking powder main yeh khasiyat hy smeel jazab ker leta hy.jin heels par white ,Brown ya black polish kerna ho.polish kerny or shine k liy alag alag brush istamal kren…

 

 

Leave a Comment